padho ibaarat-e-takhleeq-e-dard chehre par | पढ़ो इबारत-ए-तख़्लीक़-ए-दर्द चेहरे पर - Ainuddin Azim

padho ibaarat-e-takhleeq-e-dard chehre par
likhi hai karb ki roodaad zard chehre par

chhupa rahi hai khud-o-khaal jhurriyaan ban kar
jamee hui thi safar mein jo gard chehre par

kamaal-e-zabt to ye hai ki rang-e-maayusi
dam-e-shikast bhi jhalke na mard-chehre par

pighalti kyun na bhala barf ajnabbiyyat ki
nazar ki dhoop jo thehri thi sard chehre par

main dhool ahl-e-chaman meri qadr kya jaanen
mujhe sajaate hain sahra-navard chehre par

har ek jism barhana lage wahan aazim
jahaan naqaab rakhe fard fard chehre par

पढ़ो इबारत-ए-तख़्लीक़-ए-दर्द चेहरे पर
लिखी है कर्ब की रूदाद ज़र्द चेहरे पर

छुपा रही है ख़द-ओ-ख़ाल झुर्रियाँ बन कर
जमी हुई थी सफ़र में जो गर्द चेहरे पर

कमाल-ए-ज़ब्त तो ये है कि रंग-ए-मायूसी
दम-ए-शिकस्त भी झलके न मर्द-चेहरे पर

पिघलती क्यूँ न भला बर्फ़ अज्नबिय्यत की
नज़र की धूप जो ठहरी थी सर्द चेहरे पर

मैं धूल अहल-ए-चमन मेरी क़द्र क्या जानें
मुझे सजाते हैं सहरा-नवर्द चेहरे पर

हर एक जिस्म बरहना लगे वहाँ 'आज़िम'
जहाँ नक़ाब रखे फ़र्द फ़र्द चेहरे पर

- Ainuddin Azim
0 Likes

Travel Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ainuddin Azim

As you were reading Shayari by Ainuddin Azim

Similar Writers

our suggestion based on Ainuddin Azim

Similar Moods

As you were reading Travel Shayari Shayari