main ne jab had se guzarne ka iraada kar liya
manzil-e-dushwaar ko tay paa-piyada kar liya
be-haqeeqat ho gaye meri nazar mein mehr-o-maah
main ne jab ghar ke diye se istifaada kar liya
aansuon ne gham ko uryaan kar diya hota magar
dil ki ghairat ne tabassum ko labaada kar liya
amn ki sab shaahraahein tang ho kar rah gaeein
haadson ne raasta kitna kushaada kar liya
umr bhar aazim rahega nashsha-e-gham ka khumaar
aankh ko paimaana-e-khoon dil ko baada kar liya
मैं ने जब हद से गुज़रने का इरादा कर लिया
मंज़िल-ए-दुश्वार को तय पा-पियादा कर लिया
बे-हक़ीक़त हो गए मेरी नज़र में मेहर-ओ-माह
मैं ने जब घर के दिए से इस्तिफ़ादा कर लिया
आँसुओं ने ग़म को उर्यां कर दिया होता मगर
दिल की ग़ैरत ने तबस्सुम को लबादा कर लिया
अम्न की सब शाहराहें तंग हो कर रह गईं
हादसों ने रास्ता कितना कुशादा कर लिया
उम्र भर 'आज़िम' रहेगा नश्शा-ए-ग़म का ख़ुमार
आँख को पैमाना-ए-ख़ूँ दिल को बादा कर लिया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ainuddin Azim
our suggestion based on Ainuddin Azim
As you were reading Ghamand Shayari Shayari