mujhi mein jeeta hai suraj tamaam hone tak
main apne jism mein aata hoon shaam hone tak
khabar mili hai mujhe aaj apne hone ki
kahi ye jhooth na ho jaaye aam hone tak
kahaan ye jurat-e-izhaar thi kisi shay mein
sukoot-e-shab se mere ham-kalaam hone tak
ye pukhtagi thi ghamon mein na dhadkano mein sabaat
tumhaare dard ka dil mein qayaam hone tak
ye chaand taare meri dastaras se door nahin
ki faasle hain mere tez-gaam hone tak
guzar rahe hain nazar se nazar milaaye baghair
thehar bhi jaaie ek ek jaam hone tak
diye bujha diye jaate hain subh tak aazim
mera hawala diya us ne naam hone tak
मुझी में जीता है सूरज तमाम होने तक
मैं अपने जिस्म में आता हूँ शाम होने तक
ख़बर मिली है मुझे आज अपने होने की
कहीं ये झूट न हो जाए आम होने तक
कहाँ ये जुरअत-ए-इज़हार थी किसी शय में
सुकूत-ए-शब से मिरे हम-कलाम होने तक
ये पुख़्तगी थी ग़मों में न धड़कनों में सबात
तुम्हारे दर्द का दिल में क़याम होने तक
ये चाँद तारे मिरी दस्तरस से दूर नहीं
कि फ़ासले हैं मिरे तेज़-गाम होने तक
गुज़र रहे हैं नज़र से नज़र मिलाए बग़ैर
ठहर भी जाइए एक एक जाम होने तक
दिए बुझा दिए जाते हैं सुब्ह तक 'आज़िम'
मिरा हवाला दिया उस ने नाम होने तक
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ainuddin Azim
our suggestion based on Ainuddin Azim
As you were reading Badan Shayari Shayari