surkh-roo sab ko sar-e-maqtal nazar aane lage | सुर्ख़-रू सब को सर-ए-मक़्तल नज़र आने लगे

  - Ainuddin Azim

surkh-roo sab ko sar-e-maqtal nazar aane lage
jab hue ham aankh se ojhal nazar aane lage

shehar waalo jaan lena gaav mera aa gaya
bacchiyon ke sar pe jab aanchal nazar aane lage

ham ne maangi bhi dua-e-abr-e-rahmat kis ghadi
jab saroon par zulm ke baadal nazar aane lage

aaine par aaj ke jamne na de maazi ki dhool
taaki tera aane waala kal nazar aane lage

ham wahan tak bhi na pahunchen jis bulandi se gire
jab ki pichhde log bhi awwal nazar aane lage

log to kahte the aazim ye kabhi phalti nahin
zulm ki tahni pe kaise fal nazar aane lage

सुर्ख़-रू सब को सर-ए-मक़्तल नज़र आने लगे
जब हुए हम आँख से ओझल नज़र आने लगे

शहर वालो जान लेना गाँव मेरा आ गया
बच्चियों के सर पे जब आँचल नज़र आने लगे

हम ने माँगी भी दुआ-ए-अब्र-ए-रहमत किस घड़ी
जब सरों पर ज़ुल्म के बादल नज़र आने लगे

आइने पर आज के जमने न दे माज़ी की धूल
ताकि तेरा आने वाला कल नज़र आने लगे

हम वहाँ तक भी न पहुँचे जिस बुलंदी से गिरे
जब कि पिछड़े लोग भी अव्वल नज़र आने लगे

लोग तो कहते थे 'आज़िम' ये कभी फलती नहीं
ज़ुल्म की टहनी पे कैसे फल नज़र आने लगे

  - Ainuddin Azim

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ainuddin Azim

As you were reading Shayari by Ainuddin Azim

Similar Writers

our suggestion based on Ainuddin Azim

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari