jhoota hai jaanta hoon magar is ke baawajood
raunaq lagaaye rakhta hai ik khwaab ka vujood
us ne kitaab khol ke rakh di hai shelf mein
meri qaba-e-wasl ko kab mil saka vujood
is baat se hi dekh len qurbat hamaare beech
pahna hai main ne rooh pe us shakhs ka vujood
phir main karoon na naaz kyun apni badaai par
yazdaan ne apne haath se seencha mera vujood
us mein har ek baat hai par bolta nahin
paaya hai mere yaar ne tasveer sa vujood
kaise karega saamna duniya ka ab kamaal
zillat ki gahri khaai mein fenka gaya vujood
झूटा है जानता हूँ मगर इस के बावजूद
रौनक़ लगाए रखता है इक ख़्वाब का वजूद
उस ने किताब खोल के रख दी है शेल्फ़ में
मेरी क़बा-ए-वस्ल को कब मिल सका वजूद
इस बात से ही देख लें क़ुर्बत हमारे बीच
पहना है मैं ने रूह पे उस शख़्स का वजूद
फिर मैं करूँ न नाज़ क्यूँ अपनी बड़ाई पर
यज़्दाँ ने अपने हाथ से सींचा मिरा वजूद
उस में हर एक बात है पर बोलता नहीं
पाया है मेरे यार ने तस्वीर सा वजूद
कैसे करेगा सामना दुनिया का अब कमाल
ज़िल्लत की गहरी खाई में फेंका गया वजूद
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ajiz Kamaal Rana
our suggestion based on Ajiz Kamaal Rana
As you were reading Kitab Shayari Shayari