iqaan ke hamraah kuchh awhaam pade the
ham un ki gali mein jo sar-e-shaam pade the
main maan nahin paaya magar dekh raha tha
us shakhs ki chaukhat pe dar-o-baam pade the
main ek sadi ba'ad ka gham dekh raha tha
aur saath hi din raat ke aalaam pade the
laakhon mein chuna ham ne usi ek ko warna
peene ko to mehfil mein kai jaam pade the
sarkaar se pehle tha ajab naqsha jahaan ka
masjid thi kahi devi kahi raam pade the
aajiz ko bada maan hai un sher'on pe jaanaan
jo tere tavassut se zad-e-aam pade the
ईक़ान के हमराह कुछ औहाम पड़े थे
हम उन की गली में जो सर-ए-शाम पड़े थे
मैं मान नहीं पाया मगर देख रहा था
उस शख़्स की चौखट पे दर-ओ-बाम पड़े थे
मैं एक सदी बा'द का ग़म देख रहा था
और साथ ही दिन रात के आलाम पड़े थे
लाखों में चुना हम ने उसी एक को वर्ना
पीने को तो महफ़िल में कई जाम पड़े थे
सरकार से पहले था अजब नक़्शा जहाँ का
मस्जिद थी कहीं देवी कहीं राम पड़े थे
'आजिज़' को बड़ा मान है उन शे'रों पे जानाँ
जो तेरे तवस्सुत से ज़द-ए-आम पड़े थे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ajiz Kamaal Rana
our suggestion based on Ajiz Kamaal Rana
As you were reading Gaon Shayari Shayari