veeraani ke baadal chhaane lag gaye hain
panchi ab us gaav se jaane lag gaye hain
us ko jab se dekha mujh ko hosh nahin
yaaro mere hosh thikaane lag gaye hain
shehar se aaye majnoon ne ik baat kahi
aur deewane khaak udaane lag gaye hain
saaqi tere ek ishaara karne par
may-kash bhi azaan sunaane lag gaye hain
ham ne ab ik aur mohabbat kar li hai
aankhon ko phir khwaab dikhaane lag gaye hain
is shehr-e-be-zauq mein kis ka pair pada
ped parinde she'r sunaane lag gaye hain
वीरानी के बादल छाने लग गए हैं
पंछी अब उस गाँव से जाने लग गए हैं
उस को जब से देखा मुझ को होश नहीं
यारो मेरे होश ठिकाने लग गए हैं
शहर से आए मजनूँ ने इक बात कही
और दीवाने ख़ाक उड़ाने लग गए हैं
साक़ी तेरे एक इशारा करने पर
मय-कश भी अज़ान सुनाने लग गए हैं
हम ने अब इक और मोहब्बत कर ली है
आँखों को फिर ख़्वाब दिखाने लग गए हैं
इस शहर-ए-बे-ज़ौक़ में किस का पैर पड़ा
पेड़ परिंदे शे'र सुनाने लग गए हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ajiz Kamaal Rana
our suggestion based on Ajiz Kamaal Rana
As you were reading Maikada Shayari Shayari