aaya hoon tire khwaab kinaare pe laga kar | आया हूँ तिरे ख़्वाब किनारे पे लगा कर - Ajiz Kamaal Rana

aaya hoon tire khwaab kinaare pe laga kar
toofaan se ta'beer ki kashti ko bacha kar

jeene ka maza tujh ko bhi aa jaayega lekin
jo tujh se daga karte hain to un se wafa kar

gaav ki rivaayat ko rakha qaaim-o-daaim
is shehar mein har mod pe ik ped laga kar

is shehar ki galiyaan bhi mujhe kahti hain aajiz
le jaaye hamein us ke mohalle mein utha kar

आया हूँ तिरे ख़्वाब किनारे पे लगा कर
तूफ़ान से ता'बीर की कश्ती को बचा कर

जीने का मज़ा तुझ को भी आ जाएगा लेकिन
जो तुझ से दग़ा करते हैं तो उन से वफ़ा कर

गाँव की रिवायत को रखा क़ाएम-ओ-दाएम
इस शहर में हर मोड़ पे इक पेड़ लगा कर

इस शहर की गलियाँ भी मुझे कहती हैं आजिज़
ले जाए हमें उस के मोहल्ले में उठा कर

- Ajiz Kamaal Rana
0 Likes

Gaon Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajiz Kamaal Rana

As you were reading Shayari by Ajiz Kamaal Rana

Similar Writers

our suggestion based on Ajiz Kamaal Rana

Similar Moods

As you were reading Gaon Shayari Shayari