ye zindagaani kisi ki yaadon se muttasil hai
so us ke jaane pe dil mera mujh se mushta'il hai
khusoosi baatein jo shaay'ri ki hain ek un mein
ye khoon peeti hai aur peeti bhi mustaqil hai
hamaara har din kitaab ka ek baab hai aur
kitaab vehshat ki dastaanon pe mushtamil hai
hai ek khwaahish ki bahte paani mein jo hai muzmar
hai ek hasrat ki jo kinaaron se mufasil hai
kisi ne sab ka naseeb likkha hai aur aajiz
hamaari qismat mein shaay'ri hai jo jaan-gusil hai
ये ज़िंदगानी किसी की यादों से मुत्तसिल है
सो उस के जाने पे दिल मिरा मुझ से मुश्तइ'ल है
ख़ुसूसी बातें जो शाइ'री की हैं एक उन में
ये ख़ून पीती है और पीती भी मुस्तक़िल है
हमारा हर दिन किताब का एक बाब है और
किताब वहशत की दास्तानों पे मुश्तमिल है
है एक ख़्वाहिश कि बहते पानी में जो है मुज़्मर
है एक हसरत कि जो किनारों से मुंफ़सिल है
किसी ने सब का नसीब लिक्खा है और 'आजिज़'
हमारी क़िस्मत में शाइ'री है जो जाँ-गुसिल है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ajiz Kamaal Rana
our suggestion based on Ajiz Kamaal Rana
As you were reading Child labour Shayari Shayari