mushkil ko zara chhod ke aasaan ke baare | मुश्किल को ज़रा छोड़ के आसान के बारे - Ajiz Kamaal Rana

mushkil ko zara chhod ke aasaan ke baare
kuchh soch meri tangi-e-daamaan ke baare

ik tere bulaave pe bahl jaata hai warna
ma'aloom hai mujh ko dil-e-naadaan ke baare

aaghaaz-e-mohabbat mein tawakkul hai zaroori
mat soch kisi faaeda nuksaan ke baare

is shehar mein har shakhs ko sone ki padi hai
haalaanki bataaya bhi hai toofaan ke baare

is basti-e-khush-aab ki pur-kaif fazaayein
kab sochne deti hain paristaan ke baare

khone ki tujhe mujh ko wahi fikr hai laahiq
hoti hai musaafir ko jo samaan ke baare

aajiz tiri duniya ke ye insaan ajab hain
insaan ko bahkaate hain yazdaan ke baare

मुश्किल को ज़रा छोड़ के आसान के बारे
कुछ सोच मिरी तंगी-ए-दामान के बारे

इक तेरे बुलावे पे बहल जाता है वर्ना
मा'लूम है मुझ को दिल-ए-नादान के बारे

आग़ाज़-ए-मोहब्बत में तवक्कुल है ज़रूरी
मत सोच किसी फ़ाएदा नुक़सान के बारे

इस शहर में हर शख़्स को सोने की पड़ी है
हालाँकि बताया भी है तूफ़ान के बारे

इस बस्ती-ए-ख़ुश-आब की पुर-कैफ़ फ़ज़ाएँ
कब सोचने देती हैं परिस्तान के बारे

खोने की तुझे मुझ को वही फ़िक्र है लाहिक़
होती है मुसाफ़िर को जो सामान के बारे

'आजिज़' तिरी दुनिया के ये इंसान अजब हैं
इंसान को बहकाते हैं यज़्दान के बारे

- Ajiz Kamaal Rana
0 Likes

Shehar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajiz Kamaal Rana

As you were reading Shayari by Ajiz Kamaal Rana

Similar Writers

our suggestion based on Ajiz Kamaal Rana

Similar Moods

As you were reading Shehar Shayari Shayari