kisi ke hijr mein jeena muhaal ho gaya hai | किसी के हिज्र में जीना मुहाल हो गया है

  - Ajmal Siraj

kisi ke hijr mein jeena muhaal ho gaya hai
kise bataayein hamaara jo haal ho gaya hai

kahi gira hai na raunda gaya hai dil phir bhi
shikasta ho gaya hai paayemaal ho gaya hai

sehar jo aayi hai shab ke tamaam hone par
to is mein kaun sa aisa kamaal ho gaya hai

koi bhi cheez salaamat nahin magar ye dil
shikastagi mein jo apni misaal ho gaya hai

udhar charaagh jale hain kisi dariche mein
idhar wazifa-e-dil bahaal ho gaya hai

haya ka rang jo aaya hai us ke chehre par
ye rang haasil-e-shaam-e-visaal ho gaya hai

masafat-e-shab-e-hijraan mein chaand bhi ajmal
thakan se choor ghamon se nidhaal ho gaya hai

किसी के हिज्र में जीना मुहाल हो गया है
किसे बताएँ हमारा जो हाल हो गया है

कहीं गिरा है न रौंदा गया है दिल फिर भी
शिकस्ता हो गया है पाएमाल हो गया है

सहर जो आई है शब के तमाम होने पर
तो इस में कौन सा ऐसा कमाल हो गया है

कोई भी चीज़ सलामत नहीं मगर ये दिल
शिकस्तगी में जो अपनी मिसाल हो गया है

उधर चराग़ जले हैं किसी दरीचे में
इधर वज़ीफ़ा-ए-दिल बहाल हो गया है

हया का रंग जो आया है उस के चेहरे पर
ये रंग हासिल-ए-शाम-ए-विसाल हो गया है

मसाफ़त-ए-शब-ए-हिज्राँ में चाँद भी 'अजमल'
थकन से चूर ग़मों से निढाल हो गया है

  - Ajmal Siraj

Breakup Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajmal Siraj

As you were reading Shayari by Ajmal Siraj

Similar Writers

our suggestion based on Ajmal Siraj

Similar Moods

As you were reading Breakup Shayari Shayari