abhi zameen ko haft aasmaan banaana hai | अभी ज़मीन को हफ़्त आसमाँ बनाना है - Akbar Hameedi

abhi zameen ko haft aasmaan banaana hai
isee jahaan ko mujhe do-jahaan banaana hai

bhatk raha hai akela jo koh-o-sehra mein
us ek aadmi ko kaarwaan banaana hai

ye shaakh-e-gul jo ghiri hai hazaar kaanton mein
mujhe isee se naya gulistaan banaana hai

main jaanta hoon mujhe kya banaana hai lekin
wahan banaane se pehle yahan banaana hai

charaagh le ke use shehar shehar dhoondhta hoon
bas ek shakhs mujhe raaz-daan banaana hai

humein bhi umr-guzaari to karne hai akbar
unhen bhi mashghala-e-dil-baraan banaana hai

अभी ज़मीन को हफ़्त आसमाँ बनाना है
इसी जहाँ को मुझे दो-जहाँ बनाना है

भटक रहा है अकेला जो कोह-ओ-सहरा में
उस एक आदमी को कारवाँ बनाना है

ये शाख़-ए-गुल जो घिरी है हज़ार काँटों में
मुझे इसी से नया गुलिस्ताँ बनाना है

मैं जानता हूँ मुझे क्या बनाना है लेकिन
वहाँ बनाने से पहले यहाँ बनाना है

चराग़ ले के उसे शहर शहर ढूँढता हूँ
बस एक शख़्स मुझे राज़-दाँ बनाना है

हमें भी उम्र-गुज़ारी तो करनी है 'अकबर'
उन्हें भी मश्ग़ला-ए-दिल-बराँ बनाना है

- Akbar Hameedi
0 Likes

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Hameedi

As you were reading Shayari by Akbar Hameedi

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Hameedi

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari