kaafir tha main khuda ka na munkir dua ka tha | काफ़िर था मैं ख़ुदा का न मुंकिर दुआ का था - Akbar Hameedi

kaafir tha main khuda ka na munkir dua ka tha
lekin yahan sawaal shikast-e-ana ka tha

kuch ishq-o-aashiqi pe nahin mera e'tiqaad
main jis ko chahta tha haseen intiha ka tha

jal kar gira hoon sukhe shajar se uda nahin
main ne wahi kiya jo taqaza wafa ka tha

tareek raat mausam-e-barsaat jaan-e-zaar
girdaab peeche saamne toofaan hawa ka tha

ik umr ba'ad bhi na shifaa ho sake to kya
rag rag mein zahar sadiyon ki aab-o-hawa ka tha

go raahzan ka vaar bhi kuch kam na tha magar
jo vaar kaargar hua vo rehnuma ka tha

akbar jahaan mein kaar-kushaai buton ki thi
achha raha jo maanne waala khuda ka tha

काफ़िर था मैं ख़ुदा का न मुंकिर दुआ का था
लेकिन यहाँ सवाल शिकस्त-ए-अना का था

कुछ इश्क़-ओ-आशिक़ी पे नहीं मेरा ए'तिक़ाद
मैं जिस को चाहता था हसीं इंतिहा का था

जल कर गिरा हूँ सूखे शजर से उड़ा नहीं
मैं ने वही किया जो तक़ाज़ा वफ़ा का था

तारीक रात मौसम-ए-बरसात जान-ए-ज़ार
गिर्दाब पीछे सामने तूफ़ाँ हवा का था

इक उम्र बा'द भी न शिफ़ा हो सके तो क्या
रग रग में ज़हर सदियों की आब-ओ-हवा का था

गो राहज़न का वार भी कुछ कम न था मगर
जो वार कारगर हुआ वो रहनुमा का था

'अकबर' जहाँ में कार-कुशाई बुतों की थी
अच्छा रहा जो मानने वाला ख़ुदा का था

- Akbar Hameedi
0 Likes

Jahar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Hameedi

As you were reading Shayari by Akbar Hameedi

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Hameedi

Similar Moods

As you were reading Jahar Shayari Shayari