raat aayi hai bacchon ko padaane mein laga hoon | रात आई है बच्चों को पढ़ाने में लगा हूँ - Akbar Hameedi

raat aayi hai bacchon ko padaane mein laga hoon
khud jo na bana un ko banaane mein laga hoon

vo shakhs to rag rag mein meri goonj raha hai
barson se gala jis ka dabane mein laga hoon

utara hoon diya le ke nihaan-khaana-e-jaan mein
soye soye aaseb jagaane mein laga hoon

patthar hoon to sheeshe se mujhe kaam pada hai
sheesha hoon to patthar ke zamaane mein laga hoon

fankaar b-zid hai ki lagaayega numaish
main hoon ki har ik zakham chhupaane mein laga hoon

kuch padhna hai kuch likhna hai kuch rona hai shab ko
main kaam sar-e-shaam chukaane mein laga hoon

aise mein to ab sabr bhi mushkil hua akbar
sab kahte hain main us ko bhulaane mein laga hoon

रात आई है बच्चों को पढ़ाने में लगा हूँ
ख़ुद जो न बना उन को बनाने में लगा हूँ

वो शख़्स तो रग रग में मिरी गूँज रहा है
बरसों से गला जिस का दबाने में लगा हूँ

उतरा हूँ दिया ले के निहाँ-ख़ाना-ए-जाँ में
सोए सोए आसेब जगाने में लगा हूँ

पत्थर हूँ तो शीशे से मुझे काम पड़ा है
शीशा हूँ तो पत्थर के ज़माने में लगा हूँ

फ़नकार ब-ज़िद है कि लगाएगा नुमाइश
मैं हूँ कि हर इक ज़ख़्म छुपाने में लगा हूँ

कुछ पढ़ना है कुछ लिखना है कुछ रोना है शब को
मैं काम सर-ए-शाम चुकाने में लगा हूँ

ऐसे में तो अब सब्र भी मुश्किल हुआ 'अकबर'
सब कहते हैं मैं उस को भुलाने में लगा हूँ

- Akbar Hameedi
0 Likes

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Hameedi

As you were reading Shayari by Akbar Hameedi

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Hameedi

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari