hasi mein saagar-e-zarreen khanak khanak jaaye | हँसी में साग़र-ए-ज़र्रीं खनक खनक जाए

  - Akbar Hameedi

hasi mein saagar-e-zarreen khanak khanak jaaye
shabaab us ki sada ka chhalk chhalk jaaye

dil-o-nazar mein basi hai vo chaand si soorat
vo dil-kashi hai ki baalak humak humak jaaye

libaas mein hai vo tarz-e-tapaak-e-aaraish
jo ang chahe chhupaana jhalak jhalak jaaye

qadam qadam tiri raanaaiyon ke dar vaa hon
ravish ravish tira aanchal dhalak dhalak jaaye

nafs nafs ho saba ki tarah bahaar-angez
ufuq ufuq gul-e-hasti mahak mahak jaaye

nashaat-e-qurb ke lamhon mein us ki angadaai
ubhar ke khaak-e-badan se dhanak dhanak jaaye

baqa ke raaz hain sab us pe munkashif akbar
vo shaakh-e-sabz hawa se lachak lachak jaaye

हँसी में साग़र-ए-ज़र्रीं खनक खनक जाए
शबाब उस की सदा का छलक छलक जाए

दिल-ओ-नज़र में बसी है वो चाँद सी सूरत
वो दिल-कशी है कि बालक हुमक हुमक जाए

लिबास में है वो तर्ज़-ए-तपाक-ए-आराइश
जो अंग चाहे छुपाना झलक झलक जाए

क़दम क़दम तिरी रानाइयों के दर वा हों
रविश रविश तिरा आँचल ढलक ढलक जाए

नफ़स नफ़स हो सबा की तरह बहार-अंगेज़
उफ़ुक़ उफ़ुक़ गुल-ए-हस्ती महक महक जाए

नशात-ए-क़ुर्ब के लम्हों में उस की अंगड़ाई
उभर के ख़ाक-ए-बदन से धनक धनक जाए

बक़ा के राज़ हैं सब उस पे मुन्कशिफ़ 'अकबर'
वो शाख़-ए-सब्ज़ हवा से लचक लचक जाए

  - Akbar Hameedi

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Hameedi

As you were reading Shayari by Akbar Hameedi

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Hameedi

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari