kaha tha us ne mohabbat ki aabroo rakhna | कहा था उस ने मोहब्बत की आबरू रखना - Akbar Hameedi

kaha tha us ne mohabbat ki aabroo rakhna
chubhe hon kitne bhi kaante gulon ki khoo rakhna

dilon ko tod na dale tumhaari haq-goi
bajaae harf ke aaina roo-b-roo rakhna

jo waqt ahl-e-wafa se kabhi lahu maange
to sab se pehle lab-e-tegh par guloo rakhna

khizaan se haar na jaana kisi bhi haalat mein
numoo mile na mile khwaahish-e-numoo rakhna

bura na kehna zamaane ko ham zamaana hain
hamaare b'ad zamaane se guftugoo rakhna

faqih-e-shahr ke fatwe ki haisiyat kya hai
to khud ko apni nigaahon mein surkh-roo rakhna

visaal-e-dost ki saaat bhi aane waali hai
sehar qareeb hai akbar abhi wazu rakhna

कहा था उस ने मोहब्बत की आबरू रखना
चुभे हों कितने भी काँटे गुलों की ख़ू रखना

दिलों को तोड़ न डाले तुम्हारी हक़-गोई
बजाए हर्फ़ के आईना रू-ब-रू रखना

जो वक़्त अहल-ए-वफ़ा से कभी लहू माँगे
तो सब से पहले लब-ए-तेग़ पर गुलू रखना

ख़िज़ाँ से हार न जाना किसी भी हालत में
नुमू मिले न मिले ख़्वाहिश-ए-नुमू रखना

बुरा न कहना ज़माने को हम ज़माना हैं
हमारे ब'अद ज़माने से गुफ़्तुगू रखना

फ़क़ीह-ए-शहर के फ़तवे की हैसियत क्या है
तो ख़ुद को अपनी निगाहों में सुर्ख़-रू रखना

विसाल-ए-दोस्त की साअत भी आने वाली है
सहर क़रीब है 'अकबर' अभी वज़ू रखना

- Akbar Hameedi
0 Likes

Kanta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Hameedi

As you were reading Shayari by Akbar Hameedi

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Hameedi

Similar Moods

As you were reading Kanta Shayari Shayari