dekhne ko koi taiyyaar nahin hai bhaai
dasht bhi be-dar-o-deewaar nahin hai bhaai
aisa bhi sidq-o-safaa ka nahin daava ham ko
zindagi shaikh ki dastaar nahin hai bhaai
paak-baazon ki ye basti hai farishton ka nagar
koi is shehar mein may-khwaar nahin hai bhaai
ishq karna hai to chhutti nahin karne koi
ishq mein ek bhi itwaar. nahin hai bhaai
देखने को कोई तय्यार नहीं है भाई
दश्त भी बे-दर-ओ-दीवार नहीं है भाई
ऐसा भी सिदक़-ओ-सफ़ा का नहीं दावा हम को
ज़िंदगी शैख़ की दस्तार नहीं है भाई
पाक-बाज़ों की ये बस्ती है फ़रिश्तों का नगर
कोई इस शहर में मय-ख़्वार नहीं है भाई
इश्क़ करना है तो छुट्टी नहीं करनी कोई
इश्क़ में एक भी इतवार नहीं है भाई
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akbar Hameedi
our suggestion based on Akbar Hameedi
As you were reading Gaon Shayari Shayari