kahte hain ham udhar hain sitaara hai jis taraf | कहते हैं हम उधर हैं सितारा है जिस तरफ़

  - Akbar Hameedi

kahte hain ham udhar hain sitaara hai jis taraf
main jaanta hoon un ka ishaara hai jis taraf

sab chahte hain satah-e-samandar pe likkhe jaayen
par jaate hain udhar ko kinaara hai jis taraf

ye kya zaroor hai yahan umren guzaar den
ik haadse ne ham ko utaara hai jis taraf

ye aasmaan aaine ki shakl hai koi
ham us taraf hain us ka nazaara hai jis taraf

कहते हैं हम उधर हैं सितारा है जिस तरफ़
मैं जानता हूँ उन का इशारा है जिस तरफ़

सब चाहते हैं सतह-ए-समंदर पे लिक्खे जाएँ
पर जाते हैं उधर को किनारा है जिस तरफ़

ये क्या ज़रूर है यहाँ उम्रें गुज़ार दें
इक हादसे ने हम को उतारा है जिस तरफ़

ये आसमान आइने की शक्ल है कोई
हम उस तरफ़ हैं उस का नज़ारा है जिस तरफ़

  - Akbar Hameedi

Sarhad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Hameedi

As you were reading Shayari by Akbar Hameedi

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Hameedi

Similar Moods

As you were reading Sarhad Shayari Shayari