rah-e-gumaan se ajab kaarwaan guzarte hain | रह-ए-गुमाँ से अजब कारवाँ गुज़रते हैं

  - Akbar Hameedi

rah-e-gumaan se ajab kaarwaan guzarte hain
meri zameen se kai aasmaan guzarte hain

jo raat hoti hai kaisi mehkati hain galiyaan
jo din nikalta hai kya kya butaan guzarte hain

kabhi jo waqt zamaane ko deta hai gardish
mere makaan se bhi kuchh la-makaan guzarte hain

kabhi jo dekhte hain muskuraa ke aap idhar
dil-o-nigaah mein kya kya gumaan guzarte hain

रह-ए-गुमाँ से अजब कारवाँ गुज़रते हैं
मिरी ज़मीं से कई आसमाँ गुज़रते हैं

जो रात होती है कैसी महकती हैं गलियाँ
जो दिन निकलता है क्या क्या बुताँ गुज़रते हैं

कभी जो वक़्त ज़माने को देता है गर्दिश
मिरे मकाँ से भी कुछ ला-मकाँ गुज़रते हैं

कभी जो देखते हैं मुस्कुरा के आप इधर
दिल-ओ-निगाह में क्या क्या गुमाँ गुज़रते हैं

  - Akbar Hameedi

Neend Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Hameedi

As you were reading Shayari by Akbar Hameedi

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Hameedi

Similar Moods

As you were reading Neend Shayari Shayari