naam akbar to mera maa ki dua ne rakha | नाम 'अकबर' तो मिरा माँ की दुआ ने रक्खा - Akbar Hameedi

naam akbar to mera maa ki dua ne rakha
haan bharam us ka magar mere khuda ne rakha

vo bhi din tha ki tire aane ka paighaam aaya
tab mere ghar mein qadam baad-e-saba ne rakha

kis tarah logon ne maangiin theen duaaein us ki
kuch lihaaz is ka na be-mehr hawa ne rakha

aise haalaat mein ik roz na jee sakte the
hum ko zinda tire paimaan-e-wafa ne rakha

ittifaqaat ke peeche bhi hain asbaab-o-ilal
ik na ik apna sabab dast-e-qaza ne rakha

jis ne rakha tiri mitati hui qadron ka lihaaz
kuch khayal is ka nahin tu ne zamaane rakha

sirf akbar hi nahin dekh ke tasveer hua
sab ko hairaan tire naqsh-e-kaf-e-paa ne rakha

नाम 'अकबर' तो मिरा माँ की दुआ ने रक्खा
हाँ भरम उस का मगर मेरे ख़ुदा ने रक्खा

वो भी दिन था कि तिरे आने का पैग़ाम आया
तब मिरे घर में क़दम बाद-ए-सबा ने रक्खा

किस तरह लोगों ने माँगीं थीं दुआएँ उस की
कुछ लिहाज़ इस का न बे-मेहर हवा ने रक्खा

ऐसे हालात में इक रोज़ न जी सकते थे
हम को ज़िंदा तिरे पैमान-ए-वफ़ा ने रक्खा

इत्तिफ़ाक़ात के पीछे भी हैं अस्बाब-ओ-इलल
इक न इक अपना सबब दस्त-ए-क़ज़ा ने रक्खा

जिस ने रक्खा तिरी मिटती हुई क़द्रों का लिहाज़
कुछ ख़याल इस का नहीं तू ने ज़माने रक्खा

सिर्फ़ 'अकबर' ही नहीं देख के तस्वीर हुआ
सब को हैराँ तिरे नक़्श-ए-कफ़-ए-पा ने रक्खा

- Akbar Hameedi
0 Likes

Relationship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Hameedi

As you were reading Shayari by Akbar Hameedi

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Hameedi

Similar Moods

As you were reading Relationship Shayari Shayari