kai aawazon ki awaaz hoon main
ghazal ke vaaste ezaaz hoon main
kai harfon se mil kar ban raha hoon
bajaae lafz ke alfaaz hoon main
meri awaaz mein soorat hai meri
ki apne saaz ki awaaz hoon main
bahut fitri tha tera harf-e-inkaar
tira gham-khwaar hoon dam-saaz hoon main
kahi to harf-e-aakhir hoon main akbar
kisi ka nuqta-e-aaghaaz hoon main
कई आवाज़ों की आवाज़ हूँ मैं
ग़ज़ल के वास्ते एज़ाज़ हूँ मैं
कई हर्फ़ों से मिल कर बन रहा हूँ
बजाए लफ़्ज़ के अल्फ़ाज़ हूँ मैं
मिरी आवाज़ में सूरत है मेरी
कि अपने साज़ की आवाज़ हूँ मैं
बहुत फ़ितरी था तेरा हर्फ़-ए-इंकार
तिरा ग़म-ख़्वार हूँ दम-साज़ हूँ मैं
कहीं तो हर्फ़-ए-आख़िर हूँ मैं 'अकबर'
किसी का नुक़्ता-ए-आग़ाज़ हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akbar Hameedi
our suggestion based on Akbar Hameedi
As you were reading Protest Shayari Shayari