hareef-e-gardish-e-ayyaam to bane hue hain | हरीफ़-ए-गर्दिश-ए-अय्याम तो बने हुए हैं

  - Akbar Hameedi

hareef-e-gardish-e-ayyaam to bane hue hain
vo aayenge nahin aayenge ham saje hue hain

bada hi khushiyon bhara hansata-basta ghar hai mera
isee liye to sabhi qumqume jale hue hain

vo khud-pasand hai khud ko hi dekhna chahe
so us ke chaaron taraf aaine lage hue hain

ye kis haseen ki sawaari guzarne waali hai
jo kaayenaat ke sab raaste saje hue hain

mahak rahi hai fazaa us badan ki khushboo se
chaman hara-bhara hai phool bhi khile hue hain

main us ki samt mein khud raasta banaoonga
vagarna us ki taraf raaste bane hue hain

हरीफ़-ए-गर्दिश-ए-अय्याम तो बने हुए हैं
वो आएँगे नहीं आएँगे हम सजे हुए हैं

बड़ा ही ख़ुशियों भरा हँसता-बस्ता घर है मिरा
इसी लिए तो सभी क़ुमक़ुमे जले हुए हैं

वो ख़ुद-पसंद है ख़ुद को ही देखना चाहे
सो उस के चारों तरफ़ आइने लगे हुए हैं

ये किस हसीं की सवारी गुज़रने वाली है
जो काएनात के सब रास्ते सजे हुए हैं

महक रही है फ़ज़ा उस बदन की ख़ुशबू से
चमन हरा-भरा है फूल भी खिले हुए हैं

मैं उस की सम्त में ख़ुद रास्ता बनाऊँगा
वगर्ना उस की तरफ़ रास्ते बने हुए हैं

  - Akbar Hameedi

Deedar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Hameedi

As you were reading Shayari by Akbar Hameedi

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Hameedi

Similar Moods

As you were reading Deedar Shayari Shayari