vo jab nazrein mila kar bolte hain
to but allahu-akbar bolte hain
kabhi khaamosh jo hone laga hoon
to vo khwaabon mein aa kar bolte hain
unhen dekhoon to kaise kaise jazbe
meri aankhon ke andar bolte hain
hawaaein naachti hain mere sar par
mere khun mein samundar bolte hain
main sadiyon ke tafaakhur ki zabaan hoon
zamaane mere andar bolte hain
ye kaisa shehar hai mazloom chup hain
magar zalim barabar bolte hain
taqaddus mehr ban jaaye to akbar
phir aise mein aboozar bolte hain
वो जब नज़रें मिला कर बोलते हैं
तो बुत अल्लाहु-अकबर बोलते हैं
कभी ख़ामोश जो होने लगा हूँ
तो वो ख़्वाबों में आ कर बोलते हैं
उन्हें देखूँ तो कैसे कैसे जज़्बे
मिरी आँखों के अंदर बोलते हैं
हवाएँ नाचती हैं मेरे सर पर
मिरे ख़ूँ में समुंदर बोलते हैं
मैं सदियों के तफ़ाख़ुर की ज़बाँ हूँ
ज़माने मेरे अंदर बोलते हैं
ये कैसा शहर है मज़लूम चुप हैं
मगर ज़ालिम बराबर बोलते हैं
तक़द्दुस महर बन जाए तो 'अकबर'
फिर ऐसे में अबूज़र बोलते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akbar Hameedi
our suggestion based on Akbar Hameedi
As you were reading Khamoshi Shayari Shayari