khud se nikloon bhi to rasta nahin aasaan mera | ख़ुद से निकलूँ भी तो रस्ता नहीं आसान मिरा - Akbar Masoom

khud se nikloon bhi to rasta nahin aasaan mera
meri sochen hain ghani khauf hai gunjaan mera

hai kisi aur samay par guzar-auqaat meri
din khasaara hai mujhe raat hai nuksaan mera

mera tahzeeb-o-tamaddun hai ye vehshat meri
mera qissa meri taarikh hai nisyaan mera

main kisi aur hi aalam ka makeen hoon pyaare
mere jungle ki tarah ghar bhi hai sunsaan mera

din nikalte hi mere khwaab bikhar jaate hain
roz girta hai isee farsh pe gul-daan mera

mujh ko jis naav mein aana tha kahi doob gai
khwaab hai neend ke saahil pe pareshaan mera

ख़ुद से निकलूँ भी तो रस्ता नहीं आसान मिरा
मेरी सोचें हैं घनी ख़ौफ़ है गुंजान मिरा

है किसी और समय पर गुज़र-औक़ात मिरी
दिन ख़सारा है मुझे रात है नुक़सान मिरा

मेरा तहज़ीब-ओ-तमद्दुन है ये वहशत मेरी
मेरा क़िस्सा, मिरी तारीख़ है निस्यान मिरा

मैं किसी और ही आलम का मकीं हूँ प्यारे
मेरे जंगल की तरह घर भी है सुनसान मिरा

दिन निकलते ही मिरे ख़्वाब बिखर जाते हैं
रोज़ गिरता है इसी फ़र्श पे गुल-दान मिरा

मुझ को जिस नाव में आना था कहीं डूब गई
ख़्वाब है नींद के साहिल पे परेशान मिरा

- Akbar Masoom
0 Likes

Dar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Masoom

As you were reading Shayari by Akbar Masoom

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Masoom

Similar Moods

As you were reading Dar Shayari Shayari