ye gul jis khaak se laaya gaya hai | ये गुल जिस ख़ाक से लाया गया है - Akbar Masoom

ye gul jis khaak se laaya gaya hai
use aflaak se laaya gaya hai

chaman pe rang aata hi nahin tha
tiri poshaak se laaya gaya hai

ye dil jis se main sharminda bahut hoon
usi bebaak se laaya gaya hai

ujaala hai jo ye kaun-o-makaan mein
hamaari khaak se laaya gaya hai

ye jo kuch bhi hai aaya hai kahaan se
dil-e-sad-chaak se laaya gaya hai

yahan kitnon ne dekha hai jo toofaan
khas-o-khaashaak se laaya gaya hai

ये गुल जिस ख़ाक से लाया गया है
उसे अफ़्लाक से लाया गया है

चमन पे रंग आता ही नहीं था
तिरी पोशाक से लाया गया है

ये दिल जिस से मैं शर्मिंदा बहुत हूँ
उसी बेबाक से लाया गया है

उजाला है जो ये कौन-ओ-मकाँ में
हमारी ख़ाक से लाया गया है

ये जो कुछ भी है आया है कहाँ से
दिल-ए-सद-चाक से लाया गया है

यहाँ कितनों ने देखा है जो तूफ़ाँ
ख़स-ओ-ख़ाशाक से लाया गया है

- Akbar Masoom
0 Likes

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Masoom

As you were reading Shayari by Akbar Masoom

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Masoom

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari