ye saari dhool meri hai ye sab ghubaar mera | ये सारी धूल मिरी है ये सब ग़ुबार मिरा - Akbar Masoom

ye saari dhool meri hai ye sab ghubaar mera
guzar hai tere kharaabe se baar baar mera

khizaan to kya nahin jis ki bahaar ko bhi khabar
ik aise baagh ke andar hai barg-o-baar mera

hai dil ke naghma o naala se ab gurez mujhe
mila hua hai kisi aur lay se taar mera

main khush hoon naan-o-namak par to is ki daad na de
ki bheek maangata firta hai shehryaar mera

tire ghuroor ki ismat-dari pe naadim hoon
tire lahu se bhi daaman hai daagdaar mera

ये सारी धूल मिरी है ये सब ग़ुबार मिरा
गुज़र है तेरे ख़राबे से बार बार मिरा

ख़िज़ाँ तो क्या नहीं जिस की बहार को भी ख़बर
इक ऐसे बाग़ के अंदर है बर्ग-ओ-बार मिरा

है दिल के नग़्मा ओ नाला से अब गुरेज़ मुझे
मिला हुआ है किसी और लय से तार मिरा

मैं ख़ुश हूँ नान-ओ-नमक पर तो इस की दाद न दे
कि भीक माँगता फिरता है शहरयार मिरा

तिरे ग़ुरूर की इस्मत-दरी पे नादिम हूँ
तिरे लहू से भी दामन है दाग़दार मिरा

- Akbar Masoom
0 Likes

Khuddari Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Masoom

As you were reading Shayari by Akbar Masoom

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Masoom

Similar Moods

As you were reading Khuddari Shayari Shayari