us khush-ada ke aaina-khaane mein jaaunga | उस ख़ुश-अदा के आइना-ख़ाने में जाऊँगा - Akbar Masoom

us khush-ada ke aaina-khaane mein jaaunga
phir laut kar main apne zamaane mein jaaunga

rah jaayegi ye saari kahaani yahin dhari
ik roz jab main apne fasaane mein jaaunga

ye subh o shaam yoonhi rahenge mere charaagh
bas main tujhe jalane bujhaane mein jaaunga

ye khel hai to khoob magar tere haath se
is tootne bigarne banaane mein jaaunga

yoonhi main khud ko khwaab dikhaane mein aa gaya
yoonhi main khud ko khwaab dikhaane mein jaaunga

उस ख़ुश-अदा के आइना-ख़ाने में जाऊँगा
फिर लौट कर मैं अपने ज़माने में जाऊँगा

रह जाएगी ये सारी कहानी यहीं धरी
इक रोज़ जब मैं अपने फ़साने में जाऊँगा

ये सुब्ह ओ शाम यूँही रहेंगे मिरे चराग़
बस मैं तुझे जलाने बुझाने में जाऊँगा

ये खेल है तो ख़ूब मगर तेरे हाथ से
इस टूटने बिगड़ने बनाने में जाऊँगा

यूँही मैं ख़ुद को ख़्वाब दिखाने में आ गया
यूँही मैं ख़ुद को ख़्वाब दिखाने में जाऊँगा

- Akbar Masoom
0 Likes

Shaam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Masoom

As you were reading Shayari by Akbar Masoom

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Masoom

Similar Moods

As you were reading Shaam Shayari Shayari