roz-e-raushan ko jo nisbat hai siyah raat ke saath | रोज़-ए-रौशन को जो निस्बत है सियह रात के साथ - Akhlaque Bandvi

roz-e-raushan ko jo nisbat hai siyah raat ke saath
us ne rishta wahi rakha hai meri zaat ke saath

kuch na tha bakht mein naakaam mohabbat ke siva
zindagi kaat di main ne isee sougaat ke saath

shab ki shab ek charaaghaan ka samaan rehta hai
shaam aa jaati hai jab tere khayaalaat ke saath

abr-e-gham dil se uthe az-sar-e-mizgaan barase
chashm-e-giryaan ko ajab rabt hai barsaat ke saath

karb yaadon ka raha dard bhulaane ka raha
ranj kya kya na sahe gardish-e-haalat ke saath

shaikh jee aap ne dar-bandagi sajde hi gine
dil ki tatheer bhi laazim thi ibaadat ke saath

mutriba kaun sune hai tiri cheekh'on ki sada
lab-e-la'alim pe thirakte hue naghmaat ke saath

aur to kaam sabhi ho gaye poore akhlaaq
dil-lagi rah gai ik marg-e-mufaajat ke saath

रोज़-ए-रौशन को जो निस्बत है सियह रात के साथ
उस ने रिश्ता वही रखा है मिरी ज़ात के साथ

कुछ न था बख़्त में नाकाम मोहब्बत के सिवा
ज़िंदगी काट दी मैं ने इसी सौग़ात के साथ

शब की शब एक चराग़ाँ का समाँ रहता है
शाम आ जाती है जब तेरे ख़यालात के साथ

अब्र-ए-ग़म दिल से उठे अज़-सर-ए-मिज़्गाँ बरसे
चश्म-ए-गिर्यां को अजब रब्त है बरसात के साथ

कर्ब यादों का रहा दर्द भुलाने का रहा
रंज क्या क्या न सहे गर्दिश-ए-हालात के साथ

शैख़ जी आप ने दर-बंदगी सज्दे ही गिने
दिल की ततहीर भी लाज़िम थी इबादात के साथ

मुतरिबा कौन सुने है तिरी चीख़ों की सदा
लब-ए-ल'अलीं पे थिरकते हुए नग़्मात के साथ

और तो काम सभी हो गए पूरे 'अख़लाक़'
दिल-लगी रह गई इक मर्ग-ए-मुफ़ाजात के साथ

- Akhlaque Bandvi
0 Likes

Baarish Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhlaque Bandvi

As you were reading Shayari by Akhlaque Bandvi

Similar Writers

our suggestion based on Akhlaque Bandvi

Similar Moods

As you were reading Baarish Shayari Shayari