abhi ashkon mein khun shaamil nahin hai | अभी अश्कों में ख़ूँ शामिल नहीं है - Akhlaque Bandvi

abhi ashkon mein khun shaamil nahin hai
mohabbat ka junoon kaamil nahin hai

zamaane se mohabbat ka abhi tak
ye haasil hai ki kuch haasil nahin hai

na aankhen phod is dasht-e-junoon mein
ye raah-e-naqa-e-mehmil nahin hai

zameen par baith ja ai shaikh tu bhi
ye bazm-e-may tiri mehfil nahin hai

tabeebon se kaho ghar laut jaayen
ye dard-e-dil vo dard-e-dil nahin hai

humeen akhlaaq us se be-khabar hain
kisi pal hum se vo ghaafil nahin hai

अभी अश्कों में ख़ूँ शामिल नहीं है
मोहब्बत का जुनूँ कामिल नहीं है

ज़माने से मोहब्बत का अभी तक
ये हासिल है कि कुछ हासिल नहीं है

न आँखें फोड़ इस दश्त-ए-जुनूँ में
ये राह-ए-नाक़ा-ए-महमिल नहीं है

ज़मीं पर बैठ जा ऐ शैख़ तू भी
ये बज़्म-ए-मय तिरी महफ़िल नहीं है

तबीबों से कहो घर लौट जाएँ
ये दर्द-ए-दिल वो दर्द-ए-दिल नहीं है

हमीं 'अख़लाक़' उस से बे-ख़बर हैं
किसी पल हम से वो ग़ाफ़िल नहीं है

- Akhlaque Bandvi
0 Likes

Mehfil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhlaque Bandvi

As you were reading Shayari by Akhlaque Bandvi

Similar Writers

our suggestion based on Akhlaque Bandvi

Similar Moods

As you were reading Mehfil Shayari Shayari