kisi ke roo-e-gham-zada pe jab kabhi nazar gai | किसी के रू-ए-ग़म-ज़दा पे जब कभी नज़र गई - Akhlaque Bandvi

kisi ke roo-e-gham-zada pe jab kabhi nazar gai
ye mera dil tadap utha ya meri aankh bhar gai

hamaari umr-e-rafta kya malool kya shagufta kya
bhali thi ya buri thi jo guzar gai guzar gai

wafa ke ek mod par gaya tha koi chhod kar
hayaat jaise bas usi maqaam par thehar gai

kamaal khadd-o-khaal the siyah khameeda baal the
vo tamkanat ai sahib-e-jamaal ab kidhar gai

jo raah-rau hain kam-nazar safar bhi un ka kya safar
wahi hai un ki had jahaan tak un ki raahguzaar gai

bala ki sakht jaan thi zameen pe aasmaan thi
wahi ye qaum hai adoo ki sarzanish se mar gai

ujad gaya tha gulsitaan b-dast-e-mausam-e-khizan
so phir bahaar aa gai kali kali sanwar gai

किसी के रू-ए-ग़म-ज़दा पे जब कभी नज़र गई
ये मेरा दिल तड़प उठा या मेरी आँख भर गई

हमारी उम्र-ए-रफ़्ता क्या मलूल क्या शगुफ़्ता क्या
भली थी या बुरी थी जो गुज़र गई गुज़र गई

वफ़ा के एक मोड़ पर गया था कोई छोड़ कर
हयात जैसे बस उसी मक़ाम पर ठहर गई

कमाल ख़द्द-ओ-ख़ाल थे सियह ख़मीदा बाल थे
वो तमकनत ऐ साहिब-ए-जमाल अब किधर गई

जो राह-रौ हैं कम-नज़र सफ़र भी उन का क्या सफ़र
वही है उन की हद जहाँ तक उन की रहगुज़र गई

बला की सख़्त जान थी ज़मीं पे आसमान थी
वही ये क़ौम है अदू की सरज़निश से मर गई

उजड़ गया था गुल्सिताँ ब-दस्त-ए-मौसम-ए-ख़िज़ाँ
सो फिर बहार आ गई कली कली सँवर गई

- Akhlaque Bandvi
0 Likes

Aawargi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhlaque Bandvi

As you were reading Shayari by Akhlaque Bandvi

Similar Writers

our suggestion based on Akhlaque Bandvi

Similar Moods

As you were reading Aawargi Shayari Shayari