falak se chaand chaman se gulaab le aaye | फ़लक से चाँद चमन से गुलाब ले आए - Akhlaque Bandvi

falak se chaand chaman se gulaab le aaye
kahaan se koi tumhaara jawaab le aaye

hazaar rang hain husn-o-jamaal ke lekin
vo rang aur hai jis ko shabaab le aaye

ajeeb turfah-tamasha hai zindagi meri
khushi bhi aaye to gham be-hisaab le aaye

tire khameer mein shaamil hai gumrahi warna
falak se kitne payambar kitaab le aaye

idhar vo tishna-labi hai ki jaan-b-lab hain hum
udhar vo dast-e-karam par saraab le aaye

usi ki aaj bhi rahti hain muntazir aankhen
jo aa bhi jaaye to sad iztiraab le aaye

ye sher-goi hai akhlaaq koi khel nahin
kare vo maskh jo chhalni mein aab le aaye

फ़लक से चाँद चमन से गुलाब ले आए
कहाँ से कोई तुम्हारा जवाब ले आए

हज़ार रंग हैं हुस्न-ओ-जमाल के लेकिन
वो रंग और है जिस को शबाब ले आए

अजीब तुर्फ़ा-तमाशा है ज़िंदगी मेरी
ख़ुशी भी आए तो ग़म बे-हिसाब ले आए

तिरे ख़मीर में शामिल है गुमरही वर्ना
फ़लक से कितने पयम्बर किताब ले आए

इधर वो तिश्ना-लबी है कि जाँ-ब-लब हैं हम
उधर वो दस्त-ए-करम पर सराब ले आए

उसी की आज भी रहती हैं मुंतज़िर आँखें
जो आ भी जाए तो सद इज़्तिराब ले आए

ये शेर-गोई है 'अख़लाक़' कोई खेल नहीं
करे वो मश्क़ जो छलनी में आब ले आए

- Akhlaque Bandvi
0 Likes

Diversity Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhlaque Bandvi

As you were reading Shayari by Akhlaque Bandvi

Similar Writers

our suggestion based on Akhlaque Bandvi

Similar Moods

As you were reading Diversity Shayari Shayari