bewafa hai vo kabhi pyaar nahin kar saka
haan magar pyaar se inkaar nahin kar saka
apni himmat ko jo patwaar nahin kar saka
vo samundar ko kabhi paar nahin kar saka
jo kisi aur ke jalvo ka tamannaai ho
vo kabhi bhi tira deedaar nahin kar saka
hont kuchh kehne ko betaab hain kab se lekin
us ki aadat hai vo izhaar nahin kar saka
us ki chaahat pe bharosa hai mujhe mere siva
vo kisi aur ko haqdaar nahin kar saka
us ko maaloom hai vo khud bhi to rusva hoga
mujh ko rusva sar-e-bazaar nahin kar saka
waqt pad jaaye to vo jaan bhi de saka hai
fan ka sauda koi inkaar nahin kar saka
बेवफ़ा है वो कभी प्यार नहीं कर सकता
हाँ मगर प्यार से इंकार नहीं कर सकता
अपनी हिम्मत को जो पतवार नहीं कर सकता
वो समुंदर को कभी पार नहीं कर सकता
जो किसी और के जल्वों का तमन्नाई हो
वो कभी भी तिरा दीदार नहीं कर सकता
होंट कुछ कहने को बेताब हैं कब से लेकिन
उस की आदत है वो इज़हार नहीं कर सकता
उस की चाहत पे भरोसा है मुझे मेरे सिवा
वो किसी और को हक़दार नहीं कर सकता
उस को मालूम है वो ख़ुद भी तो रुस्वा होगा
मुझ को रुस्वा सर-ए-बाज़ार नहीं कर सकता
वक़्त पड़ जाए तो वो जान भी दे सकता है
फ़न का सौदा कोई इंकार नहीं कर सकता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Azad
our suggestion based on Akhtar Azad
As you were reading Deedar Shayari Shayari