shauq-e-izhaar hai karna bhi nahin chahte hain | शौक़-ए-इज़हार है करना भी नहीं चाहते हैं

  - Akhtar Azad

shauq-e-izhaar hai karna bhi nahin chahte hain
apne vaade se mukarna bhi nahin chahte hain

koi to hai mujhe jeene ki dua deta hai
ham tire ishq mein marna bhi nahin chahte hain

tujh se milne ki tamannaa bhi bahut hai dil mein
tire kooche se guzarna bhi nahin chahte hain

dil ye kehta hai simat jaayen tiri baanhon mein
boo-e-gul ban ke bikhrna bhi nahin chahte hain

jhaankte hain meri aankhon mein bacha kar nazrein
go b-zaahir vo sanwarna bhi nahin chahte hain

de ke awaaz koi rok raha kab se
aur ham hain ki theharna bhi nahin chahte hain

log saahil pe khade dhoondh rahe hain moti
bahte paani mein utarna bhi nahin chahte hain

शौक़-ए-इज़हार है करना भी नहीं चाहते हैं
अपने वादे से मुकरना भी नहीं चाहते हैं

कोई तो है मुझे जीने की दुआ देता है
हम तिरे इश्क़ में मरना भी नहीं चाहते हैं

तुझ से मिलने की तमन्ना भी बहुत है दिल में
तिरे कूचे से गुज़रना भी नहीं चाहते हैं

दिल ये कहता है सिमट जाएँ तिरी बाँहों में
बू-ए-गुल बन के बिखरना भी नहीं चाहते हैं

झाँकते हैं मिरी आँखों में बचा कर नज़रें
गो ब-ज़ाहिर वो सँवरना भी नहीं चाहते हैं

दे के आवाज़ कोई रोक रहा कब से
और हम हैं कि ठहरना भी नहीं चाहते हैं

लोग साहिल पे खड़े ढूँढ रहे हैं मोती
बहते पानी में उतरना भी नहीं चाहते हैं

  - Akhtar Azad

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Azad

As you were reading Shayari by Akhtar Azad

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Azad

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari