ab husn-o-ishq ke bhi qisse badal gaye hain | अब हुस्न-ओ-इश्क़ के भी क़िस्से बदल गए हैं - Akhtar Azad

ab husn-o-ishq ke bhi qisse badal gaye hain
manzil thi ek lekin raaste badal gaye hain

kis par yaqeen kijeye ye daur matlabi hai
lagta hai khoon ke bhi rishte badal gaye hain

aankhen bata rahi hain zaahir hai haal dil ka
vo bewafa nahin the kitne badal gaye hain

ham jaante hain phir bhi pehchaanaa hai mushkil
kuchh doston ke itne chehre badal gaye hain

un ko pata tha shaayad ik din lagegi thokar
achha hai waqt se vo pehle badal gaye hain

jab se mili hai daulat aadaab bhool baithe
ab baat-cheet ke bhi lehje badal gaye hain

hai waqt ka taqaza chup-chaap ghar mein rahiye
chaahat wafa mohabbat jazbe badal gaye hain

maasoomiyat kahi par gum ho gai hai akhtar
lagta hai shehar ja kar bacche badal gaye hain

अब हुस्न-ओ-इश्क़ के भी क़िस्से बदल गए हैं
मंज़िल थी एक लेकिन रस्ते बदल गए हैं

किस पर यक़ीन कीजे ये दौर मतलबी है
लगता है ख़ून के भी रिश्ते बदल गए हैं

आँखें बता रही हैं ज़ाहिर है हाल दिल का
वो बेवफ़ा नहीं थे कितने बदल गए हैं

हम जानते हैं फिर भी पहचानना है मुश्किल
कुछ दोस्तों के इतने चेहरे बदल गए हैं

उन को पता था शायद इक दिन लगेगी ठोकर
अच्छा है वक़्त से वो पहले बदल गए हैं

जब से मिली है दौलत आदाब भूल बैठे
अब बात-चीत के भी लहजे बदल गए हैं

है वक़्त का तक़ाज़ा चुप-चाप घर में रहिए
चाहत वफ़ा मोहब्बत जज़्बे बदल गए हैं

मासूमियत कहीं पर गुम हो गई है 'अख़्तर'
लगता है शहर जा कर बच्चे बदल गए हैं

- Akhtar Azad
0 Likes

Shehar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Azad

As you were reading Shayari by Akhtar Azad

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Azad

Similar Moods

As you were reading Shehar Shayari Shayari