haal-e-dil sunaane mein umr beet jaati hai | हाल-ए-दिल सुनाने में उम्र बीत जाती है

  - Akhtar Azad

haal-e-dil sunaane mein umr beet jaati hai
dil mein ghar banaane mein umr beet jaati hai

yun to roz kahte hain un ko bhool jaayenge
haan magar bhulaane mein umr beet jaati hai

yun to muskuraane ko roz muskuraate hain
khul ke muskuraane mein umr beet jaati hai

zindagi hamesha jab teergi ki zad mein ho
sham'a ik jalane mein umr beet jaati hai

shauq-e-jusjoo mein ham la-makaan se guzre hain
khud ko aazmaane mein umr beet jaati hai

is liye nahin karte un se koi wa'da ham
wa'de ke nibhaane mein umr beet jaati hai

maut zindagi mein kuchh fasla nahin lekin
phir bhi aane jaane mein umr beet jaati hai

tinka tinka joda hai ham ne raat-din akhtar
aashiyaan sajaane mein umr beet jaati hai

हाल-ए-दिल सुनाने में उम्र बीत जाती है
दिल में घर बनाने में उम्र बीत जाती है

यूँ तो रोज़ कहते हैं उन को भूल जाएँगे
हाँ मगर भुलाने में उम्र बीत जाती है

यूँ तो मुस्कुराने को रोज़ मुस्कुराते हैं
खुल के मुस्कुराने में उम्र बीत जाती है

ज़िंदगी हमेशा जब तीरगी की ज़द में हो
शम्अ' इक जलाने में उम्र बीत जाती है

शौक़-ए-जुस्तुजू में हम ला-मकाँ से गुज़रे हैं
ख़ुद को आज़माने में उम्र बीत जाती है

इस लिए नहीं करते उन से कोई वा'दा हम
वा'दे के निभाने में उम्र बीत जाती है

मौत ज़िंदगी में कुछ फ़ासला नहीं लेकिन
फिर भी आने जाने में उम्र बीत जाती है

तिनका तिनका जोड़ा है हम ने रात-दिन 'अख़्तर'
आशियाँ सजाने में उम्र बीत जाती है

  - Akhtar Azad

Andhera Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Azad

As you were reading Shayari by Akhtar Azad

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Azad

Similar Moods

As you were reading Andhera Shayari Shayari