chalne ka hunar kab aata hai jab tak koi thokar khao nahin | चलने का हुनर कब आता है जब तक कोई ठोकर खाओ नहीं

  - Akhtar Azad

chalne ka hunar kab aata hai jab tak koi thokar khao nahin
haalaat badalte rahte hain haalaat se tum ghabraao nahin

sapnon ke rain-basere mein sadiyon se bada sannaata hai
aankhon mein neend sulagti hai ab khwaab koi dikhlaao nahin

ye baazi pyaar ki baazi hai yahan sab kuchh daanv pe lagta hai
jeeto to kabhi itraao nahin haaro to kabhi pachhtao nahin

bojhal palkein soone raaste veeraan haveli sannaata
ab koi nahin aane waala chaukhat pe charaagh jalao nahin

thokar se kabhi khud apne hi talve zakhmi ho jaate hain
patthar to toot bhi sakte hain sheeshe se magar takraao nahin

khud apni tabaahi par hansna har shakhs ke bas ki baat nahin
deewaana hai jo hans leta hai deewane ko samjhaao nahin

gaagar ke saagar mein akshar dooba hai ghuroor pahaadon ka
tum apne dil par rehm karo panghat pe akela jaao nahin

ye rishte-naate dharma-karma pe paap-punya ham kya jaanen
ham aisi dagar ke jogi hain logo ham ko bahkaao nahin

hamdardi kaun jataayegaa duniya ko to hansna aata hai
is toote hue dil ka qissa duniya waalon ko sunaao nahin

चलने का हुनर कब आता है जब तक कोई ठोकर खाओ नहीं
हालात बदलते रहते हैं हालात से तुम घबराओ नहीं

सपनों के रैन-बसेरे में सदियों से बड़ा सन्नाटा है
आँखों में नींद सुलगती है अब ख़्वाब कोई दिखलाओ नहीं

ये बाज़ी प्यार की बाज़ी है यहाँ सब कुछ दाँव पे लगता है
जीतो तो कभी इतराओ नहीं हारो तो कभी पछताओ नहीं

बोझल पलकें सूने रस्ते वीरान हवेली सन्नाटा
अब कोई नहीं आने वाला चौखट पे चराग़ जलाओ नहीं

ठोकर से कभी ख़ुद अपने ही तलवे ज़ख़्मी हो जाते हैं
पत्थर तो टूट भी सकते हैं शीशे से मगर टकराओ नहीं

ख़ुद अपनी तबाही पर हँसना हर शख़्स के बस की बात नहीं
दीवाना है जो हँस लेता है दीवाने को समझाओ नहीं

गागर के सागर में अक्सर डूबा है ग़ुरूर पहाड़ों का
तुम अपने दिल पर रहम करो पनघट पे अकेले जाओ नहीं

ये रिश्ते-नाते धर्म-कर्म पे पाप-पुण्य हम क्या जानें
हम ऐसी डगर के जोगी हैं लोगो हम को बहकाओ नहीं

हमदर्दी कौन जताएगा दुनिया को तो हँसना आता है
इस टूटे हुए दिल का क़िस्सा दुनिया वालों को सुनाओ नहीं

  - Akhtar Azad

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Azad

As you were reading Shayari by Akhtar Azad

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Azad

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari