kya haseen raat hai is raat se darte kyun ho
aa gaye ho to mulaqaat se darte kyun ho
naam aata hai mera jab bhi kisi mehfil mein
ye batao ki savaalaat se darte kyun ho
dil lubhaane ke bhi andaaz hua karte hain
mast aankhon ke ishaaraat se darte kyun ho
kai barsaat ke mausam hain meri aankhon mein
aati jaati hui barsaat se darte kyun ho
log achhon ko bhi duniya mein bura kahte hain
kya kahega koi is baat se darte kyun ho
zindagi milti hai insaan ko jeene ke liye
muskuraate raho sadmaat se darte kyun ho
zikr-e-maazi ke tasavvur se pareshaan ho kar
zinda rahna hai to haalaat se darte kyun ho
क्या हसीं रात है इस रात से डरते क्यूँ हो
आ गए हो तो मुलाक़ात से डरते क्यूँ हो
नाम आता है मिरा जब भी किसी महफ़िल में
ये बताओ कि सवालात से डरते क्यूँ हो
दिल लुभाने के भी अंदाज़ हुआ करते हैं
मस्त आँखों के इशारात से डरते क्यूँ हो
कई बरसात के मौसम हैं मिरी आँखों में
आती जाती हुई बरसात से डरते क्यूँ हो
लोग अच्छों को भी दुनिया में बुरा कहते हैं
क्या कहेगा कोई इस बात से डरते क्यूँ हो
ज़िंदगी मिलती है इंसान को जीने के लिए
मुस्कुराते रहो सदमात से डरते क्यूँ हो
ज़िक्र-ए-माज़ी के तसव्वुर से परेशाँ हो कर
ज़िंदा रहना है तो हालात से डरते क्यूँ हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Azad
our suggestion based on Akhtar Azad
As you were reading Andhera Shayari Shayari