taaron ki utarti hai doli aur chaandni dulhan hoti hai
jis raat mein do dil milte hain vo raat suhaagan hoti hai
jab dil se dil mil jaate hain to kya kya gul khil jaate hain
kuchh gair gale lag jaate hain kuchh apnon se an-ban hoti hai
jalte hain jahaan waale lo jalen ham raah-e-wafa mein saath chalen
duniya ko chhodo duniya to dil waalon ki dushman hoti hai
soorat meri aankhon mein dekho kya dekh rahe ho aaina
jis aankh mein koi bas jaaye vo aankh bhi darpan hoti hai
bas un ke liye hi raat aur din dil mera dhadakta hai lekin
jab saamne vo aa jaate hain tez aur bhi dhadkan hoti hai
tum bin ye bahaaron ka mausam lagta hai mujhe patjhad ki tarah
tum saath raho to har ik rut mere liye saawan hoti hai
tasveer ho teri jab dil mein gham dil ke qareeb aaye kaise
main yaad tujhe kar leta hoon jab koi bhi uljhan hui hai
nikhere to bane ik taaj-mahal phaile to khushboo aur ghazal
lekin jo simatti hai chaahat mehboob ka daaman hoti hai
तारों की उतरती है डोली और चाँदनी दुल्हन होती है
जिस रात में दो दिल मिलते हैं वो रात सुहागन होती है
जब दिल से दिल मिल जाते हैं तो क्या क्या गुल खिल जाते हैं
कुछ ग़ैर गले लग जाते हैं कुछ अपनों से अन-बन होती है
जलते हैं जहाँ वाले लो जलें हम राह-ए-वफ़ा में साथ चलें
दुनिया को छोड़ो दुनिया तो दिल वालों की दुश्मन होती है
सूरत मिरी आँखों में देखो क्या देख रहे हो आईना
जिस आँख में कोई बस जाए वो आँख भी दर्पन होती है
बस उन के लिए ही रात और दिन दिल मेरा धड़कता है लेकिन
जब सामने वो आ जाते हैं तेज़ और भी धड़कन होती है
तुम बिन ये बहारों का मौसम लगता है मुझे पतझड़ की तरह
तुम साथ रहो तो हर इक रुत मेरे लिए सावन होती है
तस्वीर हो तेरी जब दिल में ग़म दिल के क़रीब आए कैसे
मैं याद तुझे कर लेता हूँ जब कोई भी उलझन हुई है
निखरे तो बने इक ताज-महल फैले तो ख़ुश्बू और ग़ज़ल
लेकिन जो सिमटती है चाहत महबूब का दामन होती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Azad
our suggestion based on Akhtar Azad
As you were reading Raat Shayari Shayari