ye farsh-o-arsh kya hai allah jaanta hai | ये फ़र्श-ओ-अर्श क्या है अल्लाह जानता है - Akhtar Azad

ye farsh-o-arsh kya hai allah jaanta hai
pardo mein kya chhupa hai allah jaanta hai

jo bhi bura-bhala hai allah jaanta hai
bandon ke dil mein kya hai allah jaanta hai

laakh apne dil ka sikka duniya se tu chhupaaye
khota hai ya khara hai allah jaanta hai

ja kar jahaan se waapas aata nahin hai koi
vo baam kaun sa hai allah jaanta hai

ye subh-o-shaam dekho ye dhoop-chaanv dekho
sab kyun ye ho raha hai allah jaanta hai

neki-badi ko apni kitna hi tu chhupaaye
allah ko pata hai allah jaanta hai

qismat ke naam ko sab jaane nahin hain akhtar
qismat mein kya likha hai allah jaanta hai

ये फ़र्श-ओ-अर्श क्या है अल्लाह जानता है
पर्दों में क्या छुपा है अल्लाह जानता है

जो भी बुरा-भला है अल्लाह जानता है
बंदों के दिल में क्या है अल्लाह जानता है

लाख अपने दिल का सिक्का दुनिया से तू छुपाए
खोटा है या खरा है अल्लाह जानता है

जा कर जहाँ से वापस आता नहीं है कोई
वो बाम कौन सा है अल्लाह जानता है

ये सुब्ह-ओ-शाम देखो ये धूप-छाँव देखो
सब क्यूँ ये हो रहा है अल्लाह जानता है

नेकी-बदी को अपनी कितना ही तू छुपाए
अल्लाह को पता है अल्लाह जानता है

क़िस्मत के नाम को सब जाने नहीं हैं 'अख़्तर'
क़िस्मत में क्या लिखा है अल्लाह जानता है

- Akhtar Azad
1 Like

Qismat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Azad

As you were reading Shayari by Akhtar Azad

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Azad

Similar Moods

As you were reading Qismat Shayari Shayari