koi chaudahveen-raat ka chaand ban kar tumhaare tasavvur mein aaya to hoga
kisi se to ki hogi tum ne mohabbat kisi ko gale se lagaaya to hoga
labon se mohabbat ka jaadu jaga ke bhari bazm mein sab se nazrein bacha ke
nigaahon ke raaste se dil mein samaa ke kisi ne tumhein bhi churaaya to hoga
tumhaare khayaalon ki anganaaiyon mein meri yaad ke phool mahke to honge
kabhi apni aankhon ke kaajal se tum ne mera naam likh kar mitaaya to hoga
kabhi aaine se nigaahen mila kar jo li hogi bharpoor angadaai tu ne
to ghabra ke khud teri angadaaiyon ne tire husn ko gudgudaaya to hoga
nigaahon mein sham-e-tamanna jala kar taki hongi tum ne bhi raahen kisi ki
kisi ne to wa'da kiya hoga tum se kisi ne to tum ko rulaaya to hoga
juda ho gaya hoga jab koi tum se diya hoga jab tum ko dhoka kisi ne
hamaari wafa yaad aayi to hogi hamein apne nazdeek paaya to hoga
कोई चौदहवीं-रात का चाँद बन कर तुम्हारे तसव्वुर में आया तो होगा
किसी से तो की होगी तुम ने मोहब्बत किसी को गले से लगाया तो होगा
लबों से मोहब्बत का जादू जगा के भरी बज़्म में सब से नज़रें बचा के
निगाहों के रस्ते से दिल में समा के किसी ने तुम्हें भी चुराया तो होगा
तुम्हारे ख़यालों की अँगनाइयों में मिरी याद के फूल महके तो होंगे
कभी अपनी आँखों के काजल से तुम ने मिरा नाम लिख कर मिटाया तो होगा
कभी आइने से निगाहें मिला कर जो ली होगी भरपूर अंगड़ाई तू ने
तो घबरा के ख़ुद तेरी अंगड़ाइयों ने तिरे हुस्न को गुदगुदाया तो होगा
निगाहों में शम-ए-तमन्ना जला कर तकी होंगी तुम ने भी राहें किसी की
किसी ने तो वा'दा किया होगा तुम से किसी ने तो तुम को रुलाया तो होगा
जुदा हो गया होगा जब कोई तुम से दिया होगा जब तुम को धोका किसी ने
हमारी वफ़ा याद आई तो होगी हमें अपने नज़दीक पाया तो होगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Azad
our suggestion based on Akhtar Azad
As you were reading Wafa Shayari Shayari