mujhe din-raat fikr-e-aashiyaan maaloom hoti hai | मुझे दिन-रात फ़िक्र-ए-आशियाँ मालूम होती है - Akhtar Madhupuri

mujhe din-raat fikr-e-aashiyaan maaloom hoti hai
ki bargashta nigaah-e-baagbaan maaloom hoti hai

jo dil azaad ho to har jagah haasil hai aazaadi
qafas mein bhi bahaar-e-gulsitaan maaloom hoti hai

paye-gul-gasht shaayad aaj vo jaan-e-bahaar aaya
chaman ki patti patti gulsitaan maaloom hoti hai

ujadti aa rahi hai muddaton se dekhiye phir bhi
bahaar-e-baag-e-aalam be-khizaan maaloom hoti hai

tabassum un ke honton par tadap hai mere seene mein
kahaan bijli chamakti hai kahaan maaloom hoti hai

shafaq phooli hui hai har taraf khun-e-shaheedaan ki
zameen-e-koo-e-qaatil aasmaan maaloom hoti hai

kisi ki anjuman mein mujh pe ye paabandiyaan akhtar
zara si baat par kattee zabaan maaloom hoti hai

मुझे दिन-रात फ़िक्र-ए-आशियाँ मालूम होती है
कि बरगश्ता निगाह-ए-बाग़बाँ मालूम होती है

जो दिल आज़ाद हो तो हर जगह हासिल है आज़ादी
क़फ़स में भी बहार-ए-गुल्सिताँ मालूम होती है

पए-गुल-गश्त शायद आज वो जान-ए-बहार आया
चमन की पत्ती पत्ती गुल्सिताँ मालूम होती है

उजड़ती आ रही है मुद्दतों से देखिए फिर भी
बहार-ए-बाग़-ए-आलम बे-ख़िज़ाँ मालूम होती है

तबस्सुम उन के होंटों पर तड़प है मेरे सीने में
कहाँ बिजली चमकती है कहाँ मालूम होती है

शफ़क़ फूली हुई है हर तरफ़ ख़ून-ए-शहीदाँ की
ज़मीन-ए-कू-ए-क़ातिल आसमाँ मालूम होती है

किसी की अंजुमन में मुझ पे ये पाबंदियाँ 'अख़्तर'
ज़रा सी बात पर कटती ज़बाँ मालूम होती है

- Akhtar Madhupuri
0 Likes

Aawargi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Madhupuri

As you were reading Shayari by Akhtar Madhupuri

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Madhupuri

Similar Moods

As you were reading Aawargi Shayari Shayari