yun jo khulta hai zamaane ka bharam achha hai | यूँ जो खुलता है ज़माने का भरम अच्छा है - Akhtar Madhupuri

yun jo khulta hai zamaane ka bharam achha hai
hum pe hote hain zamaane ke sitam achha hai

vo qadam kya jo tajassus mein rahe manzil ke
badh ke khud choom le manzil vo qadam achha hai

hai tamanna-e-aseeri to kabhi is mein uljh
gesoo-e-waqt ka pech achha hai kham achha hai

amn-o-insaaf-o-musaawat ki khaatir logo
tum uthao jo bagaavat ka alam achha hai

qatre milte hain to vo hote hain dariya mein shumaar
hum mila kar jo chalen apne qadam achha hai

sheesha-e-dil mein to hai dost ke irfaan ki sharaab
sheesha-e-dil se kahaan saaghar-o-jam achha hai

mil ke kuch karne ka ab aaya hai waqt ai yaaro
jis qadar hum mein rahe fasla kam achha hai

akhtar aa kar chaman-e-gang-o-jamun ko dekhe
jo ye kehta hai ki gulzaar-e-iram achha hai

यूँ जो खुलता है ज़माने का भरम अच्छा है
हम पे होते हैं ज़माने के सितम अच्छा है

वो क़दम क्या जो तजस्सुस में रहे मंज़िल के
बढ़ के ख़ुद चूम ले मंज़िल वो क़दम अच्छा है

है तमन्ना-ए-असीरी तो कभी इस में उलझ
गेसू-ए-वक़्त का पेच अच्छा है ख़म अच्छा है

अम्न-ओ-इंसाफ़-ओ-मुसावात की ख़ातिर लोगो
तुम उठाओ जो बग़ावत का अलम अच्छा है

क़तरे मिलते हैं तो वो होते हैं दरिया में शुमार
हम मिला कर जो चलें अपने क़दम अच्छा है

शीशा-ए-दिल में तो है दोस्त के इरफ़ाँ की शराब
शीशा-ए-दिल से कहाँ साग़र-ओ-जम अच्छा है

मिल के कुछ करने का अब आया है वक़्त ऐ यारो
जिस क़दर हम में रहे फ़ासला कम अच्छा है

'अख़्तर' आ कर चमन-ए-गंग-ओ-जमन को देखे
जो ये कहता है कि गुलज़ार-ए-इरम अच्छा है

- Akhtar Madhupuri
0 Likes

Maikashi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Madhupuri

As you were reading Shayari by Akhtar Madhupuri

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Madhupuri

Similar Moods

As you were reading Maikashi Shayari Shayari