jahaan-e-be-sabaati mein tamasha-e-jahaan kab tak | जहान-ए-बे-सबाती में तमाशा-ए-जहाँ कब तक - Akhtar Madhupuri

jahaan-e-be-sabaati mein tamasha-e-jahaan kab tak
chamakte mehr-o-mah taare zameen-o-aasman kab tak

shab-e-gham mein tajalli par na itra ai dil-e-muztar
sitaaron ki ye chashmak aur raqs-e-kahkashaan kab tak

samundar ki khamoshi ek toofaan saath laayegi
kisi na-mehrabaan ki ye nigaah-e-mehrabaan kab tak

badhaaye ja qadam tu badh ke sargarm-e-amal ho ja
yoonhi takta rahega soo-e-gard-e-kaarvaan kab tak

laga kar aag khud hi kyun na bad-bakhti pe main ro luun
jalaaen aashiyaan ko mere aakhir bijliyaan kab tak

ye behtar hai falak hona hai jo kuch ab vo ho jaaye
rahoon teri balaa-e-na-gahaan ke darmiyaan kab tak

kamaal-e-zabt par bhi ashk-e-gham aankhon se bah nikle
bhala roke se ruk sakti thi ye sail-e-ravaan kab tak

fazaa-e-zeest par taari hai akhtar yaas ka aalam
na jaane matlaa-e-ummeed hoga zarfishaan kab tak

जहान-ए-बे-सबाती में तमाशा-ए-जहाँ कब तक
चमकते मेहर-ओ-मह तारे ज़मीन-ओ-आसमाँ कब तक

शब-ए-ग़म में तजल्ली पर न इतरा ऐ दिल-ए-मुज़्तर
सितारों की ये चश्मक और रक़्स-ए-कहकशाँ कब तक

समुंदर की ख़मोशी एक तूफ़ाँ साथ लाएगी
किसी ना-मेहरबाँ की ये निगाह-ए-मेहरबाँ कब तक

बढ़ाए जा क़दम तू बढ़ के सरगर्म-ए-अमल हो जा
यूँही तकता रहेगा सू-ए-गर्द-ए-कारवाँ कब तक

लगा कर आग ख़ुद ही क्यों न बद-बख़्ती पे मैं रो लूँ
जलाएँ आशियाँ को मेरे आख़िर बिजलियाँ कब तक

ये बेहतर है फ़लक होना है जो कुछ अब वो हो जाए
रहूँ तेरी बला-ए-ना-गहाँ के दरमियाँ कब तक

कमाल-ए-ज़ब्त पर भी अश्क-ए-ग़म आँखों से बह निकले
भला रोके से रुक सकती थी ये सैल-ए-रवाँ कब तक

फ़ज़ा-ए-ज़ीस्त पर तारी है 'अख़्तर' यास का आलम
न जाने मतला-ए-उम्मीद होगा ज़रफ़िशाँ कब तक

- Akhtar Madhupuri
0 Likes

Aanch Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Madhupuri

As you were reading Shayari by Akhtar Madhupuri

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Madhupuri

Similar Moods

As you were reading Aanch Shayari Shayari