shehar ka shehar jala aur ujaala na hua | शहर का शहर जला और उजाला न हुआ - Akhtar Madhupuri

shehar ka shehar jala aur ujaala na hua
saanehaa kya ye muqaddar ka niraala na hua

hai faqat naam ko azaadi-e-izhaar-e-khayaal
warna kab kis ke labon par yahan taalaa na hua

tootte sheeshe ko dekha hai zamaane bhar ne
dil ke tukdon ka koi dekhne waala na hua

jis ne parkha unhen vo thi koi be-jaan masheen
dil ke zakhamon ka bashar dekhne waala na hua

kis qadar yaas-zada hai ye hisaar-e-zulmat
dil jalaae bhi to har samt ujaala na hua

dasht-e-ghurbat ke safar ki ye aziyyat-naaki
khushk talvon ka abhi ek bhi chaala na hua

zabt ka had se guzar jaana yahi hai akhtar
dil sulagta hai magar honton pe naala na hua

शहर का शहर जला और उजाला न हुआ
सानेहा क्या ये मुक़द्दर का निराला न हुआ

है फ़क़त नाम को आज़ादी-ए-इज़हार-ए-ख़याल
वर्ना कब किस के लबों पर यहाँ ताला न हुआ

टूटते शीशे को देखा है ज़माने भर ने
दिल के टुकड़ों का कोई देखने वाला न हुआ

जिस ने परखा उन्हें वो थी कोई बे-जान मशीन
दिल के ज़ख़्मों का बशर देखने वाला न हुआ

किस क़दर यास-ज़दा है ये हिसार-ए-ज़ुल्मत
दिल जलाए भी तो हर सम्त उजाला न हुआ

दश्त-ए-ग़ुर्बत के सफ़र की ये अज़िय्यत-नाकी
ख़ुश्क तलवों का अभी एक भी छाला न हुआ

ज़ब्त का हद से गुज़र जाना यही है 'अख़्तर'
दिल सुलगता है मगर होंटों पे नाला न हुआ

- Akhtar Madhupuri
0 Likes

Gaon Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Madhupuri

As you were reading Shayari by Akhtar Madhupuri

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Madhupuri

Similar Moods

As you were reading Gaon Shayari Shayari