guzarna hai jee se guzar jaaie
liye deeda-e-tar kidhar jaaie
khule dil se milta nahin ab koi
use bhoolne kis ke ghar jaaie
subuk-rau hai mauj-e-gham-e-dil abhi
abhi waqt hai paar utar jaaie
ult to diya parda-e-shab magar
nahin soojhtaa ab kidhar jaaie
ilaaj-e-gham-e-dil na sehra na ghar
wahi huu ka aalam jidhar jaaie
isee mod par ham hue the juda
mile hain to dam bhar thehar jaaie
kathin hain bahut hijr ke marhale
taqaza hai hans kar guzar jaaie
ab us dar ki akhtar hawa aur hai
liye apne shaam-o-sehar jaaie
गुज़रना है जी से गुज़र जाइए
लिए दीदा-ए-तर किधर जाइए
खुले दिल से मिलता नहीं अब कोई
उसे भूलने किस के घर जाइए
सुबुक-रौ है मौज-ए-ग़म-ए-दिल अभी
अभी वक़्त है पार उतर जाइए
उलट तो दिया पर्दा-ए-शब मगर
नहीं सूझता अब किधर जाइए
इलाज-ए-ग़म-ए-दिल न सहरा न घर
वही हू का आलम जिधर जाइए
इसी मोड़ पर हम हुए थे जुदा
मिले हैं तो दम भर ठहर जाइए
कठिन हैं बहुत हिज्र के मरहले
तक़ाज़ा है हँस कर गुज़र जाइए
अब उस दर की 'अख़्तर' हवा और है
लिए अपने शाम-ओ-सहर जाइए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Saeed Khan
our suggestion based on Akhtar Saeed Khan
As you were reading Terrorism Shayari Shayari