siyaah shab ki aziyat tabaah kar degi | सियाह शब कि अज़ीयत तबाह कर देगी

  - Md Akhter Ansari

siyaah shab ki aziyat tabaah kar degi
mujhe andheron ki aadat tabaah kar degi

main tere dukh mein barabar shareek hun so mujhe
udaas shab ki aziyat tabaah kar degi

jo sabr aur tahammul ke saath ishq kare
use tumhaari mohabbat tabaah kar degi

jo ishq sabr ki deewaar tod de jaanaan
use badan ki zaroorat tabaah kar degi

dua salaam se aage agarche baat badhe
to phir ye vasl ki raahat tabaah kar degi

haseen chehre ki aadat hai chhod jaane ki
so aise shakhsh ki sohbat tabaah kar degi

सियाह शब कि अज़ीयत तबाह कर देगी
मुझे अंधेरों कि आदत तबाह कर देगी

मैं तेरे दुख में बराबर शरीक हुँ सो मुझे
उदास शब कि अज़ीयत तबाह कर देगी

जो सब्र और तहम्मुल के साथ ईश़्क करे
उसे तुम्हारी मोहब्बत तबाह कर देगी

जो इश्क़ सब्र की दीवार तोड़ दे जानाँ
उसे बदन की ज़रूरत तबाह कर देगी

दुआ सलाम से आगे अगरचे बात बढ़े
तो फिर ये वस्ल की राहत तबाह कर देगी

हसीन चेहरे की आदत है छोड़ जाने की
सो ऐसे शख्श़ की सोहबत तबाह कर देगी

  - Md Akhter Ansari

Kamar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Md Akhter Ansari

As you were reading Shayari by Md Akhter Ansari

Similar Writers

our suggestion based on Md Akhter Ansari

Similar Moods

As you were reading Kamar Shayari Shayari