main tere shehar mein jalte diye laaya nahin hota | मैं तेरे शहर में जलते दिये लाया नहीं होता

  - Akhil Saxena

main tere shehar mein jalte diye laaya nahin hota
jo yaad aata ki taarikee ka waan pahra nahin hota

saleeqe se chhupaati hai vo aurat zakhm chehre ke
sabhi ghoonghat ka maqsad ghair se parda nahin hota

jise mannat mein maanga tha wahi beta rulaata hai
sabhi maa ke liye fal sabr ka meetha nahin hota

nahin hota bharosa mujhko langde ishq par jismein
deewana vasl hota hai magar gussa nahin hota

yahi sab log chaahenge tumhaara kaam ruk jaaye
kaheinge hone par mehnat se aakhir kya nahin hota

main itna bol paaya tha suno bacchon khuda sabka
yatiimon se utha halla nahin hota nahin hota

मैं तेरे शहर में जलते दिये लाया नहीं होता
जो याद आता कि तारीकी का वाँ पहरा नहीं होता

सलीक़े से छुपाती है वो औरत ज़ख़्म चेहरे के
सभी घूँघट का मक़्सद ग़ैर से पर्दा नहीं होता

जिसे मन्नत में माँगा था वही बेटा रुलाता है
सभी माँ के लिए फल सब्र का मीठा नहीं होता

नहीं होता भरोसा मुझको लँगड़े इश्क़ पर जिसमें
दिवाना वस्ल होता है मगर गुस्सा नहीं होता

यही सब लोग चाहेंगे तुम्हारा काम रुक जाए
कहेंगे होने पर "मेहनत से आख़िर क्या नहीं होता

मैं इतना बोल पाया था "सुनो बच्चों ख़ुदा सबका..."
यतीमों से उठा हल्ला "नहीं होता नहीं होता"

  - Akhil Saxena

Teer Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhil Saxena

As you were reading Shayari by Akhil Saxena

Similar Writers

our suggestion based on Akhil Saxena

Similar Moods

As you were reading Teer Shayari Shayari