maqaam-e-aadmiyat imtihaan ki manzil hai | मक़ाम-ए-आदमियत इम्तिहाँ की मंज़िल है

  - Akmal Alduri

maqaam-e-aadmiyat imtihaan ki manzil hai
kisi ke vaaste aasaan kisi ko mushkil hai

nahin fareb-e-khuloos aur khuloos mein koi farq
b-yak nigaah karein imtiyaaz mushkil hai

yahin se raaste imkaan ke nikalte hain
hamaara qalb-e-musaffa ik aisi manzil hai

mera rafeeq talvun-mizaaj hai apna
kabhi hai barq tadapati hui kabhi dil hai

yahi vo dil hai jo be-maut maarta hai hamein
hamaare seene ke andar hamaara qaateel hai

hamaare azm pe mauqoof hai qiyaam-e-safar
chalen to raasta hai ruk gaye to manzil hai

zabaan se kyun kahe vo baat dil ki tu jo sune
khamosh is liye har waqt tera sail hai

charaagh kaun jalata hai chaudahveen shab mein
hamaari bazm ki qindeel maah-e-kaamil hai

sukoon naseeb b-zaahir mujhe magar akmal
watan ke vaaste seene mein dil to bismil hai

मक़ाम-ए-आदमियत इम्तिहाँ की मंज़िल है
किसी के वास्ते आसाँ किसी को मुश्किल है

नहीं फ़रेब-ए-ख़ुलूस और ख़ुलूस में कोई फ़र्क़
ब-यक निगाह करें इम्तियाज़ मुश्किल है

यहीं से रास्ते इम्कान के निकलते हैं
हमारा क़ल्ब-ए-मुसफ़्फ़ा इक ऐसी मंज़िल है

मिरा रफ़ीक़ तलव्वुन-मिज़ाज है अपना
कभी है बर्क़ तड़पती हुई कभी दिल है

यही वो दिल है जो बे-मौत मारता है हमें
हमारे सीने के अंदर हमारा क़ातिल है

हमारे अज़्म पे मौक़ूफ़ है क़ियाम-ए-सफ़र
चलें तो रास्ता है रुक गए तो मंज़िल है

ज़बाँ से क्यों कहे वो बात दिल की तू जो सुने
ख़मोश इस लिए हर वक़्त तेरा साइल है

चराग़ कौन जलाता है चौदहवीं शब में
हमारी बज़्म की क़िंदील माह-ए-कामिल है

सुकूँ नसीब ब-ज़ाहिर मुझे मगर 'अकमल'
वतन के वास्ते सीने में दिल तो बिस्मिल है

  - Akmal Alduri

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akmal Alduri

As you were reading Shayari by Akmal Alduri

Similar Writers

our suggestion based on Akmal Alduri

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari