ek nayi zeest liye aaj ajal aayi hai | एक नई ज़ीस्त लिए आज अजल आई है

  - Akmal Alduri

ek nayi zeest liye aaj ajal aayi hai
qaid se ham ne rihaai hi kahaan paai hai

us se milne ke liye is qadar ai dil na tadap
mera izhaar-e-mohabbat meri ruswaai hai

inqilaabaat-e-zamaana ko zamaana samjhe
ham to kahte hain ki vo bhi tiri angadaai hai

jis ke sholoon se hui husn ki rangat raushan
aag aisi mere jazbaat ne sulagaai hai

ham ne armaanon ki mayyat ko diya hai kaandha
ai gham-e-dil ye tiri hausla-afzaai hai

hai ye dar nooh ka toofaan na samajh le duniya
chaadar-e-ashk-e-wafa ham ne jo failaai hai

aaina-khaana-e-dil mein vo zaroor aayenge
un ke dil mein bhi tamanna-e-khud-aaraai hai

haath se saaqi ke peena hi padega mujhe ab
meri tauba-shikni ban ke ghatta chhaai hai

akmal insaan vo akmal hai b-faiz-e-fitrat
dard-e-insaan se jis insaan ki shanaasaai hai

एक नई ज़ीस्त लिए आज अजल आई है
क़ैद से हम ने रिहाई ही कहाँ पाई है

उस से मिलने के लिए इस क़दर ऐ दिल न तड़प
मेरा इज़हार-ए-मोहब्बत मिरी रुस्वाई है

इन्क़िलाबात-ए-ज़माना को ज़माना समझे
हम तो कहते हैं कि वो भी तिरी अंगड़ाई है

जिस के शो'लों से हुई हुस्न की रंगत रौशन
आग ऐसी मिरे जज़्बात ने सुलगाई है

हम ने अरमानों की मय्यत को दिया है कांधा
ऐ ग़म-ए-दिल ये तिरी हौसला-अफ़ज़ाई है

है ये डर नूह का तूफ़ाँ न समझ ले दुनिया
चादर-ए-अश्क-ए-वफ़ा हम ने जो फैलाई है

आइना-ख़ाना-ए-दिल में वो ज़रूर आएँगे
उन के दिल में भी तमन्ना-ए-ख़ुद-आराई है

हाथ से साक़ी के पीना ही पड़ेगा मुझे अब
मेरी तौबा-शिकनी बन के घटा छाई है

'अकमल' इंसान वो अकमल है ब-फ़ैज़-ए-फ़ितरत
दर्द-ए-इंसाँ से जिस इंसाँ की शनासाई है

  - Akmal Alduri

Jazbaat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akmal Alduri

As you were reading Shayari by Akmal Alduri

Similar Writers

our suggestion based on Akmal Alduri

Similar Moods

As you were reading Jazbaat Shayari Shayari