bharosa phoolon ka kaanton ka e'tibaar nahin | भरोसा फूलों का काँटों का ए'तिबार नहीं

  - Akmal Alduri

bharosa phoolon ka kaanton ka e'tibaar nahin
ta'yyunaat ke khaake hain ye bahaar nahin

main kaise aap ke wa'de ka e'tibaar karoon
huzoor jab mujhe khud apna e'tibaar nahin

mere shuoor-e-mohabbat ki jis se zillat ho
khuda ke fazl se aisa mera shi'aar nahin

vo but-kada ho ki kaaba ho ya ki may-khaana
kisi jagah bhi mohabbat se mujh ko aar nahin

uthaani padti hai zillat qadam qadam pe use
jahaan mein jis ka sadaqat agar shi'aar nahin

vo phool khaar hai jo gir gaya nazar se tiri
vo khaar gul hai jo nazaron mein teri khaar nahin

kisi ki saaqi ke qadmon pe hai jabeen-e-niyaaz
kisi ko saaqi pe khud apne e'tibaar nahin

tu apni aankhon se saaqi pila ke be-khud kar
piyuun main jaam se aisa to baada-khwaar nahin

gunaahgaaron pe hai jab ki rahmaton ka nuzool
kahoon main kaise phir akmal gunaahgaar nahin

भरोसा फूलों का काँटों का ए'तिबार नहीं
तअ'य्युनात के ख़ाके हैं ये बहार नहीं

मैं कैसे आप के वा'दे का ए'तिबार करूँ
हुज़ूर जब मुझे ख़ुद अपना ए'तिबार नहीं

मिरे शुऊर-ए-मोहब्बत की जिस से ज़िल्लत हो
ख़ुदा के फ़ज़्ल से ऐसा मिरा शिआ'र नहीं

वो बुत-कदा हो कि काबा हो या कि मय-ख़ाना
किसी जगह भी मोहब्बत से मुझ को आर नहीं

उठानी पड़ती है ज़िल्लत क़दम क़दम पे उसे
जहाँ में जिस का सदाक़त अगर शिआ'र नहीं

वो फूल ख़ार है जो गिर गया नज़र से तिरी
वो ख़ार गुल है जो नज़रों में तेरी ख़ार नहीं

किसी की साक़ी के क़दमों पे है जबीन-ए-नियाज़
किसी को साक़ी पे ख़ुद अपने ए'तिबार नहीं

तू अपनी आँखों से साक़ी पिला के बे-ख़ुद कर
पियूँ मैं जाम से ऐसा तो बादा-ख़्वार नहीं

गुनाहगारों पे है जब कि रहमतों का नुज़ूल
कहूँ मैं कैसे फिर 'अकमल' गुनाहगार नहीं

  - Akmal Alduri

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akmal Alduri

As you were reading Shayari by Akmal Alduri

Similar Writers

our suggestion based on Akmal Alduri

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari